Monday, August 31, 2009

shayariiiiiii....


*Dub ke unki aankhon me chahat ka jaam pi lete hai,

tum ne kaha hamesha ke liye alvida,

magar tere aane ki ummid me na chahte hue bhi ji lete hai.....

*Phool kabhi kilta nahi,agar use bhanvre ki chahat na hoti,

dil ka dard kabhi kam na hota,agar tere pyar ki rahat na hoti,

main to kabhi ka dafan ho gaya hota,agar meri ummidon ko tere aane ki aahat na hoti...

*kal raat ek khwab aya,khwabo me tere chehre ka rubaab aya,

maine to haqiqat kya khwabon me bhi awaj di tumhe,par waha bhi na teri jhalak mili na tera jawab aya....

Saturday, August 29, 2009

Bhagwaan se pahle kise yaad karu....??


Sab ke jahan me jab sawal ata hai ki pahle kise yaad kiya jaye Bhagwaan ko,Guru ko ya Mata-Pita ko??

Mere najriye se Mata-Pita ko sabse pahle yaad kiya jana chahiye kyuki.............

Ma-Papa ek chhanv ki tarah hai jo hum pe ane wali dhukh ki dhup ko khud hi apne upar rok kar hume usase mahfooj rakhte hai.

Wo ek ehsaas hai jo kabhi humse dur nahi ho sakta. Wo kai baar hume apni problems nahi batate kyuki wo hume dukhi nahi dekh sakte hai.Par hum me se kitane hai jo apane mammi-papa ke liye sochte hai? Hum me se kitne unako ye ehsaas dilate hai ki,hum kabhi unko dukh nahi pahuchayenge ya unka sath kabhi nahi chhodenge?Shayad bahot kam hai jo apne mammi-papa ko ye ehsaas dilate honge.

Hum kabhi nahi sochte hai jab hum apne parents ko hurt karte hai,unki feellings ki kadar nahi karte hai,tab unki atma kitni roti hai,wo baar-baar yahi sochte hai ki unki parvarish me konsi kami rah gai jo aaj hum unko thodi si ijjat dene se bhi katrate hai. Mammi-Papa hume chalna sikhate hai,hume wo sab sikhate hai jisase hum apni ek alag pahchan bana sake,apna ek naam falak pe likh sake sirf isliye nahi ki hum kuchh ban ke unko bhul jaye balki isliye ki jab wo budhe ho jaye to hum unka hath thaam ke unko chala sake unake upar ek majboot chhat ban ke unki hifasat kar sake. Parents ke liye sabse khushi ka dina wo hota hai jab unka beta ya beti kuchh ban ke unake samne ata hai o kahta hai ki ab tak apane bahot kuchh diya par ab meri bari hai apke liye kuchh karne ki,apko kuchh dene ki. Mammi-Papa ke liye sabse dukhad lamha wo hota hai jab unka beta ya beti kahti hai ki unhone usake liye kiya hi kya hai. Hume koshish karni chahiye ki hum apne Mammi-Papa ko aisa din na dikhaye ki wo hume kabhi maaf na kar paye......

Ma ko sabse pehla guru kaha gaya hai kyuki jindagi ka pahla paath wahi hume padhati hai yani wo GURU se badi hai aur Pita hume duniya ki pahchan karata hai wahi batate hai ki hume kis raste pe chalna hai isliye wo bhagwan se bada hai......

yaha tak ki bhagwaan ki nazaro me bhi mata-pita se bada koi nahi hai kyuki wahi hai jo unhi ko ek madhyam banata hai hume duniyaa me bhejne ka...........

Isliye Bhagwan aur guru se pahle Mata-pita ko yaad kiya jana chahiye..

-----ASTU-----

Friday, August 28, 2009

*Haya kya hai........jab nazar uthna chahe par uth na paye

*mohabbat kya hai......jab koi na chahte hue bhi yaad aaye

*Dosti kya hai........... jab poori duniya dushman ho jaye par fir bhi wo sath nibhaye

*dushmani kya hai........jab kisi ki surat se bhi nafarat ho jaye

*irshya kya hai........jab kisi ki tarif se hi man jal jaye

*tapsya kya hai...........jab din aur raat ka anter khatm ho jaye

*jivan kya hai..........jo mar ke bhi amar ho jaye

*mratyu kya hai.............jab koi ji kar bhi kisi ko yaad na aaye

*samman kya hai..............jab kisi ke samne sar khud b khud jhuk jaye

*ada kya hai......................jise dekh kar waqt tham jaye

*safalta kya hai.............jab kuchh pane ke baad koi or namra ho jaye

*haar kya hai.................jab koi apna sath na nibhaye

*jeet kya hai.................jab ek anjan bhi sath nibhaaye 

                                                                                       k...

this is my journey's second one.........


AAJ MERI JINDAGI ME KOI KAMI SI HAI………………
Aaj meri ankhon me ek nami si hai, sab kuchh hai mere paas par meri jindagi me ek kami si hai
Palkon ke anchal pe teri yadon ki dhul jami si hai, sab kuchh hai mere paas par meri jindagi me ek kami si hai

Koi hai jo har baar yaad ata hai,paas hote hue bhi mujhse mil nahi pata hai,najdikiyan bhi duriya lagne lagti hai jab koi paas hokar bhi dur ho jata hai,
Usaki ek hansi pe tham jati thi meri duniya par aaj uski us hansi ke bina meri duniya thami si hai, sab kuchh hai mere paas par meri jindagi me ek kami si hai

Un dino ke jab tum the yaha jindagi jagi-jagi si thi,sare mausam mehrabaan dost the,
raste dawat name the jo manjilon ne likhe the humare liye,ped bahen pasare khade the,hume chhanv ki shaul pahnanae ke waste

sham ko sare sitare bahot muskurate the jab dekhte the hume,ati-jati havayen koi geet khushbu ka gati hui,chhedti thi gujar jati thi,
aasman pighale nilam ka ek talab tha jisame har raat ek chand ka phool khilta tha aur pighale nilam ki lahron me bahta hua humare dil ke kinaro ko chhu leta tha
Un dino ke jab tum the yaha,

Ashko me jaise dhul gaye sab muskurate lamhe,raste me thak ke so gai masum si umange,
dil hai ki fir bhi khwab sajane ka shouk hai,patthar pe bhi gulab ugane ka shouk hai,
barso se yu to ek amavas ki raat hai,ab usako housla kahu ya jid ki baat hai,
dil kahta hai andhere me bhi roshni to hai,mana ke raakh ho gaye ummid ki alaav, iis raakh me bhi aag kahi par dabi si hai…..

sab kuchh hai mere paas par meri jindagi me ek kami si hai…

k…..



my first poem...
“EK AANSOO………………”
“THIS IS MY FIRST EVER………………..”


MERI AANKH SE BAHTE HUE EK AANSOO NE ROKER MUJHSE KAHA ,
KYU TU MUJHE VYARTH ME BAHATA HAI……,KYU TU CHAH KAR BHI MUJHE APNI AANKHON ME NAHI ROK PATA HAI,

   
ITNA BABUS TO TU KABHI NA THA,
AB TO EK HAWA KE JHONKE SE HI SAHAM JATA HAI AUR TU CHAH KAR BHI MUJHE APNI AANKHON ME NAHI ROK PATA HAI……………

KABHI NAHI THI TUJHE MERI ITANI PARVAH,
NAHI DEKHI THI MAINE KABHI TERI AANKHON SE YE DUNIYA,
PAR AB TU MUJHE BINA ROKE BAHATA HAI AUR TU CHAH KAR BHI MUJHE APNI AANKHON ME NAHI ROK PATA HAI………..

JISKI CHAH ME TU MUJHE APNI AANKHON SE BAHATA HAI,SHAYAD WO TO YE KABHI SAMAJH HI NAHI PATA HAI KI TU USI KI YAAD ME MUJHE BEINTAHA BAHATA HAI AUR TU CHAH KAR BHI MUJHE APNI AANKHON ME NAHI ROK PATA HAI……

NAHI SAMJHEGA WO TERI BABASI AUR LACHARI KO,NAHI SAMJHEGA WO TERE ASHAAY MAN KO,TUJHE HI PINA HOGA APNE HAR GUM KO, 
NAHI JANTA WO MERE MOL KO,KASH ME USE APNA MOL BATA PATA AUR WO TUJHE SAMAJH JATA,NA HI TU MUJHE VYARTH ME BAHATA AUR ME TERI AANKHON ME MAHFUJ RAH PATA……………
MERE AANKH SE BAHTE HUE EK AANSOO NE……………….


K......