Kya hota hai jab pyar purana hota hai??
Sabse pahle jante hai ki pyar ke kya symptoms hai….
Jab koi ladka ya ladki bina baat muskuraye,uska jikra aate hi uska rom rom sharmaye,
Usake liye bekarari itani bad jaye ki usase bina mile ek pal bhi chain na aaye,par wo mil jaye to samajh na aaye ki uasase kya kaha jaye…
Ladka ghume 8 paher apna mobile khud se chipkaye,har ghanti pe sirf usi ka number nazar aaye,
jab dono ke bich sms ka lamba silsila chal jaye,har sms ka end ‘MISS YOU’ se kiya jaye aur ye pyar confirm tab ho jaye jab ye ‘MISS YOU’ ‘LOVE YOU’ me badal jaye aur uska number JAAN ke naam se save ho jaye…
Ye pyar ke shuruwati laxan the,kya ho jab pyar toda purana ho jaye????
Usaki har baat boring ho jaye,usaki achchhaiya buraiyo me badal jaye,
Usaka har sawal ek kante ki tarah chubh jaye,jab dhundhne lage dono baat na karne ke upaay…
Jab bhi phone aaye busy hu kah kar kaat diya jaye aur kisi bhi sms ka reply na diya jaye…
Jab dono ko ek dusare ki parwah na rah jaye aur din me ek bhi lamha us ki yaad ne aye…
Jin baato ko sun kar mann khil jata tha unhi baato se ab mann uub jaye…
Jab sms ka end LOVE YOU ki jagah HATE YOU se ho jaye aur number JAAN ki jagah original naam se save ho jaye…
Tab samajh jao ki pyaar poorana ho chala hai ab usake replacement ka time aa gaya hai….
Yahi hota hai jab pyar kisi aur se hota hai…………….
k........
No comments:
Post a Comment